Posted on

Aaj main jo is sarhad pe baitha hoon
Apne ghar, apne doston aur apni Maa ke chehre ko yaad kar
Apne Hind k khaatir is tapti registaan mein
Dushman ko goli k nishaane pe liye, Zindagi ko maut k muhane liye baitha hoon
Aaj main is sarhad pe baitha hoon.

Hai mazaal k ek inch bhi le jaaye koi mere Hind ka
Ek Hindu hoon aur saath mein ek muslamaan liye baitha hoon
Main is sarhad pe jo baitha hoon.

Jinhone bhi aakhein utha k dekha
Dafn kar diya humne har koshish Dushman-e-Hind ki
Kyunki desh k duaaon ka main tofaa liye baitha hoon
Haaan kyunki aaj main sarhad pe baitha hoon.

Tu le jaa jitne sar kaatkar mere
Main sahadad k liye kaarwaan liye baitha hoon
Bus mat krna gustaakhi mere desh k tukde krne ki
Kynki main tumhaare zindagi k panno pe yamraj bankar baitha hoon
Aa jaao, aaj main is sarhad pe baitha hoon.

Mushkil se shaam ko jab kbhi Maa se ho paati h baat
To shyd phone rakhne k baad bheegi palkon se wo rab se karti hogi ardaas
K mere laal ko kal ka sooraj zarror dikhana
Aaj jaise kal phr meri baat us see zarror karwaana
Kyunki aaj jo main is sarhad pe baitha hoon.

Seva is Sarhad-e-Hind ki krte krte
Chuttiyon mein shayad ghar main nahi aa paaun Maa
Shyd kisi din Tirange mein lipti hui jaaye laash meri
Aur laaye aankhon mein aansun teri
Tum mat hona udaas
Kyunki murid hoon main is watan ka
Garv krna mujhpe agar ho jaaun ek aur shahid main is watan ka.

Jai Hind!
Dedicated to Indian Army and Sir Hemraj Singh

 
Courtesy: Mr. Sumit Anand
Department of Electronics and Communication
Batch of 2018-22