fbpx
Posted on

Unn paak aankhoon main masumiyat nazar aati hain,
Musafir fatehaal ki kahani nazar aati hain,

Ussne ghar baar chorah apna,
Kayi dino se paith bhar nahi khaya hain,
Duniya ki jung main usne,
Maa-baap aur Bhai behn khoye,
Bata aye hukumarano, iss jung se tumne kya paaya hai.

Hifazat-e-insaniyat ki khatir, shuru jo jung tumne ki thi,
Khatam ho hi nahi rahi ye ginti,
Itne insaanon ko maara hai..

Un bachcho ko yaad karta hu jab,
dil kaamp jata hain,
Nazar ke saamne qoum aati hai,
bachcho ko jiski tumne aslaha thamaya hain.

Bandooke hadh se aage badh gayi hai,
Kalamwaalon tum chup kyun ho,
Taaqatwar hoti h kalam,
Ye tumne hume btaya h.

Gunahgaro par rahem hain,
Masumoon par waar,
Ye kaisa insaaf hai,
Kisne ye kanoon banaya hai.

Ae Khuda Aap rok lo iss kahar ko,
Maasumon pe jo dhaye jaati hai.
Pyaar se milkar saath rhne ko to,
Aapne ye dunia banayii hai.

Courtesy: Mr. Sumit Anand
Department of Electronics and Communication
(Batch of 2018-22)